Apne Project ke bojh tale dabaa ja raha hai,
WO dekho ek researcher chala ja raha hai...
Zindagi se hara hua hai, Par schedule se haar nahi manta,
Apne culture ki ek ek strain isne analyse ki hai,
par aaj kaun se rang ke 'socks' pehne hain, ye nahi jaanta,
Din par din DNA isolate karta ja raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Agarose Gel mein contaminated Bands dhoond leta hai par,
Majboor dost ki aankhon ki nami dikhayi nahi deti,
PC pe hazaar windows khuli hain,
Par dil ki khidki pe koi dastak sunayi nahi deti,
Sunday nahata nahi, week days ko naha raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Kitabon me gulab rakhne wala , PI ki email mein red flag lagaa raha hai,
Dil ki zameen se armaano ki vidayi ho gayi, Din bhar mails ke jawaab de raha hai,
Weekends pe daroo peke jo jashn mana raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Maze lena ho iske to poochh lo,
"Thesis submission" ki party kab de rahe ho,
Hansi udana ho to pooch lo,
"Publication" kab chaap rahe ho?
Wo dekho Foreign se laute project-mate ki chocolates kha raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Kharche bad rahe hain, Baal kam ho rahe hain,
Fellowship ki date ati nahi,
Analysis ke sitam ho rahe hain,
Lo phir se bus chhoot gayi, Auto se aa raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Pizza gale se nahi utarta,
To "Coke" ke sahare nigal liya jata hai,
Canteen ki "Thaali" dekh muh banata hai,
Maa ke haath ka khana use roz yaad ‘aata hai,
"Coffee" bani hai phir bhi, cuttin “Chai” pee raha hai,
Wo dekho ek researcher chala ja raha hai...
Aapne ab tak li hongi bahut si chutkiyan,
ek researcher ke jivan ka sach batati ye aakhri kuch panktiyan,
Hazaron ki tankhwah wala, Company ki karodon ki jeb bharta hai,
ek researcher wahi ban sakta hai, Jo lohe ka jigar rakhta hai,
Hum log jee jee ke marte hain , Zindagi hai kuch aisi,
Ek fauj ki naukri, doosri ek researcher ki ,Dono ek jaisi
(Anonymous)